Mayank Bhardwaj

Mayank Bhardwaj

Tuesday, February 12, 2013

MAI KON HU??

koi to bataye, zara samjhaye
kaha se aya kab aya are mai hu kon
mai hu kon?
MAI KON HU?
khud se hi nahi meri koi pahchan
khuda ne kyu bakshi meri jaan
duniya bole pyar se khubsurat hoti zindgi
hote khut se riha or ye bandgi
koi hota hai tumhare aas-paas
kisi ka har ghadi dil se hota ehsaas
wah wah kya bat
hat sala sab bakwaas
koi to bataye mujhe
zara samjhaye mujhe
mai kon hu?
bolo zara hu mai kon?
apne hi saye se kyu mai darta hu
har ghadi har pal mai marta hu
apni hi atma se kyu mai ladta hu
chik chik ke ab yahi kahta hu
mai kon hu?
ha MAI KON HU??
itne saalo me mara nahi mene koi teer
zannat bhi zahannum hai jise ho kasmeer
mera zameer bole ab to tu kuch kar
ni to fir chullu bhar pani mai dub mar
par ab na karu mai waqt barbad
karna hai mujhe anokha kaam
or banani hai mujhe
apni ek nayi pahchan..........


Sunday, January 27, 2013

MERI KAHANI

har bar esa kyu hota jaha bhi me jata
sunta logo ki bakwas
unka rona kabhi khatam nahi hota
fir khatam ho jaye sab so jaye
ghadi me rat ke 12 baj jaye
par unka bhonkna kavi khatam nahi hota
kyu ni hota kyu ni hota
kyu mujhe koi nahi samjhta
itni hai aabadi fir bhi jane kyu koi nahi apna
samjhate mujhe kahte mera bus ki ni hai bat
par me esa kavihar manta hu nahi
jante nahi is mouke ke kabse kiya mene intzaar
kiya itna waqt barbad JHAND INSAAN
baithe baithe sochte sochte beet gaye kitne sare saal
andar ki garmi 47 degree hai ye tapmaan
kab rat mai tare chamke kab suraj dhale
anjaan tha mai par fir se ni hogi ye galti
nahi bhar payegi ye gahrayi
nahi mit payegi ye nishani
likhunga itihaas mai
roj ek nayi kahaniiiiiiii...........

Monday, January 14, 2013

MERE KHUDA

kitne tute hai wo wade,kitne tute hai wo pyar mai
esa lagta hai jaise sansaar mai kuch na hai
jise kahu mai apna, jiske sath dekh saku koi sapna
jiske sath jhum saku naach saku gaa saku
har dil ki bat mai kah saku
bina sharmake.....

kahte hai har mard ke piche hota ourat ka hat
par mere piche koi nahi,bus ek khuda ka hat
jiski chhaw me aram se sota, uska ashirwad
jab wo pas mere kisi ki kami nahi
uske sath chalu to lagu karodpati
ye duniya hai meri, hum dono ki jodi kamal ki
hum mil jate hai badal dete hai, ye pura jahan
fir sabko tang karte hai bus mouj karte hai
kya kare hum dono dil se sararti bacche hai

kya ho tum mere khuda, kya ho tum mere khuda
kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa
kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa
kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa

mere pas sab kuch hai, jab wo hai mere pas
koi dar nahi fikar nahi jab uska ehsaas
anjana hai safar jina cchahta hu har ek pal
dekhte hai kitni dur tak chalenge hamare kadam
bacha le mujhe mere khuda sar utha ke dekh lu aaj
aasmaa mai dikh jaye mujhe tera chahra hasta hua
jab bhi hota mai akela use pata hota
mai kya kar raha chuppan chupai ka khel suru hota
kahi wo na fir badalo mai ja chupa
mai na ud saktaaaaaa
mai janta hu  mai pagalo wali baten kuch jyada karne laga
uski esi duniya pyar ka hu ese pyassa
jab tak mil na jaye wo tab tak gata rahe ye dil mera
chupa hai pura sansaar uski ankhon mai
fir se janam lunga mai uski duniya mai, chota baccha ban ke
ek bar jilu mai raja ban ke
rajkumari ka diwana aya ghode pe apna banane tujhe


kya ho tum mere khuda, kya ho tum mere khuda
kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa
kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa
kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa

kuch bhi kah de sun ne ko bekrar hai
ya tu sun le jo mere dil mai hai
mere khuda mere khuda mere khuda mere khuda

kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa
kya tum ho mere khuda, ho na jaye hum judaa

kitne tute hai wo wade, kitne uthte hai pyar ke saware
kitna kara mene intjar, jaldi aye mujhe le jaye
mere khuda mere khuda mere khuda mere khuda
ho na jaye hum ese judaa, ho na jaye hum ese juda......





Tuesday, January 8, 2013

MERI AAG

me kya bolu unko me kon hota hu bolne wala
tumko me puchna chahta hu mujhse nafrat tumhe kyu ki
kya mere andar hai koi kami to batao fir is inssan ko jisse ho jai galti.
mai tumhare jaisa ek musafir bhatakta raha idhar uhar
udhar dund raha apni khusi
to jabab pata mujhe agar tum na mere jaise hi
ho gai na tumhari band bolti
agar nahi to dikha fir mujhse najre mila fir
dil se ek bar dedo jabab
wada mera karunga tumhare faisle ki puri ijzzat
kyuki mai na chahata hu
ye ek hi mili hai zindgi me ese jina na
mera dil de mujhe hi gali
to dede mujhe tasalli
jina chahata hu is dard ke bin
jina chahata hu zindgi jo bachi baki
ye dard jo dia hai mujhko par ye ankh dekh na paye
mujhe langada tum na samjo par ye kadam badh na paye
nai hai meri koi bhi majburi pas kar du chahe kuch bhi ho duri
par jitna bhi roku gata hai ye dhun besuri
dil mera dil mera dil mera dil mera
to ye kya mera sath na dia tha kisi ne bhi
sirf dia nafrat ne hi to kya mai hu matlabi
maa tum kahti ho nafrat insaan ki sabse badi kami
uska uski guss uski aag jalade apne ap ko wo khud hi
par aaj jab wohi bane meri takat mera sathi
to kya wo hai hai meri kamjori
ye mujhe thand se bachane wali meri garmi
mahsus kar sakta hu ab kisi ke dil me na rahi
puchu sabse par wo na denge jabab
khudgarz hue to dard pahle dusro ko de denge halal
samjhana hai na wo samjhte khud khuda samjh baithe
tavi jo khuda ko puche unhe khuda hi na mile
ye dard jo dia hai mujhko par ye ankh dekh na paye
mujhe langada tum na samjo par ye kadam badh na paye
nai hai meri koi bhi majburi pas kar du chahe kuch bhi ho duri
par jitna bhi roku gata hai ye dhun besuri
dil mera dil mera dil mera dil mera
us aag mai jalti hai meri chita
us aag mai jalta hai mera sansaar
mujhko tum na do wo jagah kisko kya pata
jis aag me tapta tha mai jaise jaise din badhe
meri aag utni teji se jale
jalana chahta tha ye duniya mai
kyuki koi pasand na tha mujhe
par aaj laya ye hi ujala meri andheri galiyo me
dia mujhe janam bani meri maa
hua mera janam amar pakshi ki tarah
us aag mai jal kar mila ye haq mujhe
us raakh se utha mere dard ka dhua
ye dard jo dia hai mujhko par ye ankh dekh na paye

mujhe langada tum na samjo par ye kadam badh na paye
nai hai meri koi bhi majburi pas kar du chahe kuch bhi ho duri
par jitna bhi roku gata hai ye dhun besuri
dil mera dil mera dil mera dil mera
or uski aag se jalana chahata tha duniya
kyuki usi aag mai jalta hia dil mera.............


Saturday, November 24, 2012

HINDUSTAAN MERI JAAN


Hamara desh hamara vatan
Hindustaan meri jaan
Hindustaan meri jaan
Tha kon sa din kon sa mahina
Jab hue the hum aazad suni hamne kahaniya
Sahido ki kurbaniya
Dikhane chale hindustaan ki takdeer
Jawani ne dia apna seena cheer
Chandra sekhar,bhagat sing jaise kai nojawan
Hila k rakh di saltnat aangrezo ki juban
Sabki juban pe ek hi nara inklaab zindaabad
Gandi ji The insaan par bagwaan k samaan
Chalta aaj bhi unke vicharo pe ye sansaar.
1947 me mili aazadi bharat azaad hua Jaise udta hua panchi
Uski wo udaan uski wo uchaiya
Kare parwat paar jaise ho hanso ki udaan
Kaise bhul sakte hai hum wo pal,Uski pareshaniya unka wo dard.
Unki khoon ki nadi aaj bhi mere nash nash mai hai bahti.
Unke wo aansu unke wo tute sapne
hamara banta hai farz hamara kam hai ye
Kare aakhri ehsaan unpe
Aakhri karam kyu na hum pura kar de
Par badle me hamne unhe kya dia
Videsi vastu apnayi or beparwaah hokar zindgi ko jia
Kyu na aaj hum jhanda lahraye
Or hat milakar fir hum gaye
Kyu hum piche hate chalo aage badh ke hamla kare
Bus aage bade kabhi na ruke
Kabhi phir na ye sar jhuke
Hindustaan meri jaan
Hindustaan meri jaan
Tere liye mai kurban
Hindustaan meri jaan
Rongte khade ho jate aaj bhi
jab hum sun lete aazadi ki kahaniya
Yad ati hai mujhe sunai deti unki chikhe
Or sath mai deshbhakto ki kurbaniya
Kaise bhul sakte hai kitne papad bele the kitne jurm sahe the
Sochu mai kiske liye kya the wo bewakuf kya wo the sarphire
Kyu wo saheed hue kya mile unhe esa karke
Bus pyaar k liye kuch na badkar tha desh se
Jaan de baithe jaise kuch na the unke lie
Kya yahi inka raaz hai.
Kya hum bhi esa kar sakte
Kya hum bhi ese desh k liye jaan desh sakte
Pata nahi mujhe lagta nahi mujhe
Kyuki aapno me wo pyar hi nahi hai,vishwas nahi hai
Dharm k naam pe sar kat te
Apno ke hi khoon baha te
Kaha gaya wo bhaichara hamari ektaa
Kaise bhul sakte hai hum jaliyawala baag
Aaj bhi jalta hai dil jab dekhe ye goliyo ke nishan
Tuti hamari zameen alag hua apna pakistaan
Or tum or chale desh ki barbaadi karne
Namard hai sab kaise
Hum bhul gaye
Kyu wo saheed hue
Accha hai wo na rahe dekh lete is desh ko to ro jate
Wo lade jang in logo ke lie
Jinhe he nahi is desh ki koi fikar
Sarkaar nikali raaj karne
Par kuch nahi inke bas mai
Kuch na kare bus bhrast hue
Paiso ke liye apna imaan nast kare
To kya hum ab bhi chup rahe
Hindustaan meri jaan
Hindustaan meri jaan
Tere lie mai kurban
Hindustaan meri jaan
Sare jaha se accha hindusaan hai hamara
Aage badho sathiyo piche mat hato
Aao badle is desh ki takdeer
JAY HIND..........

Tuesday, October 9, 2012


Friends these are the my YOU-TUBE links, plz watch and response about my performance :
For downloading the videos please click on the links-
You can also watch these videos on YOU-TUBE

1. pahli nazar mai (in my styel)

2.  naqaab

  
3.  Pani da rang(in my styel) 

4. pyar se lyrics by mayank 

5. dosti lyrics by mayank
  
6. dil mera

7. chahiye tera ehsaan

8. sirf tere liye

9. jab se dekha 

10. main hoon fresh banda

11. mujhe sirf chahiye kagaz

12. tuta mera dil

13. nashili

14. gulabi aankhein in my style